Urdu poetry

Tere sang beetaaye do pal,
Wo khushiyo ke sidhane,
Khusqismat na  tha,
Auro ki tarah, jise gale se lagaya,

Qabil na samjha khud ko kabhi
Tanha safar tha,
Isko do kadam tere sath chalne ka,
Mano Tinkay ka sahara mil gya.

Aarzoo buland na thi,
Teri muskurahat ne Iska karz ada kardiya,
Yeh safar tha musafir ka jiska koi thikana na tha,
Gunjaaish hain humrahi meri humdostana ada karna.

 

Gumaan na tha naa hi fakhr tha,
Sare aalum ka fikr Na tha,
Par bad nazar tujhe na lag jaye,
Iska bada dar tha.

 

Gam ki khandak me hoo aye ‘fazil’,
Tu bhool bhi jaye koi fark ni,
Tera aasmaan chamke yahi dua ha,
Main toh toot hi chuka Tha.

 

Koi falsafe ka zikr na tha,
Tere sath guftagoo ka manzar tha,
Kuch pal tere sath khushnoodi ke,
Mujhe khushkismaton Me shamil kara diya.

 

Kash tere sang zindagi beeta sakoon,
Waqt ki dehleez ka taqaza tha ya qismat ka,
To gair thi main bhi gair tha,
Par pata nahi kyon dil ne tujhe apna maan liya.

 

Kabhi aansoo ke chasme na dekhe,
Par to door ho gyi nazro se,
Mayal dil ro pada,
Aur beqaso me shumaar ho gya.

 

Zindagi aisay jiya aye fazil,
Gham ke darwaze ko fursat na mili,
Kuch hasi thi baqi mujh mein,
Par ab kisi pe aitbaar na raha.

 

Image source  space-fact. Com

Copyright reserved !ns¡ght

Aquib.

cameff_1516343288300_1516605769792.png

Published by AQUIB

the unsung poet..

56 thoughts on “Urdu poetry

      1. nahi Jindal Saab main jhoot nahi kheta. (😁😁).
        Movies se sekhi do teen word. Sanu, tenu, man put jat da mandani haar.. Lol yo yo se bhi seekha hain.

        Liked by 1 person

  1. So, Mr Aquib(Akeeb ji), that was wonderfully penned and I think I could read those emotions too which stood back in you heart as you always bar them from being out, . And,,,yeah your feelings are flowing as if they are really breathing through your words,, great!👍👍

    Liked by 2 people

      1. I don’t think it needs a make over… It seems very real and very deep…It seems that the poem is talking to me… Yeah… it is somewhat lengthy but the starting lines were me drowning deep in to the poem… Lovely work…!

        Liked by 1 person

  2. Ohho ‘fazil’ jee, ye pen name use karte the aap. Humne meaning search Kiya iska, usme tha “excellent”, “generous”, “praiseworthy”, “righteous”, “superior”, “virtuous”. Hamare fazil professor ji khyal rakhiyega apna.

    Like

Leave a comment