It drives me nuts when I am unable to write something properly.
Well this one I saw in my draft, quintessential enough- hopefully to share with my readers.
If you have written something in Urdu please do link them in the comment or let me know.
Right now i am feeling lost and my routine has messed up again. 😔😑.
Feeling irritated with myself.
Duao me please Yaad rkahna.
Allah hame aur apko Hidayat de ameen.
Hidayat is very important trust me. We don’t realize we are the one who need Allah’s Mercy His Karam and His Afiyat.
The Fajar namaz, and the Salah in masjid do you think, it’s because of ourselves? Ask those Who do not pray while the call for namaz is made! Haiya AlalFala Haiya AlaSalah.
Come to prayer come to Success.
Dont you think it’s echoing in the deaf ears of so called Muslim?
Ya Rabb Hamein Taufeeq Sajda karne ko aisi sajda jiska toh mustahaq hain,
Aur Ya Rabb apne Mehboob pyare Mustafa (saw) ke bataye raste me chalne ke taufeeq de.
Aur Hamein Kehne sunne se zyda amal ki taufeeq de, aur behayayi se bachai.
Ameen. Do pray for me too.
Aksar log bhool jaate,
Jinko dhoop me bhi andhera dikhaye deta tha,
Aur jinhe bheedh me kho Jana acha lagta tha
Jo raat tanhai me bebas rehte the
Jo Dam dam ghoot ke piya karte the.
Us chandni raat me jinhe kaale
Siyaah chav hi nazar aate the,
Wo aksar gham me mujhe
Yaad kia karte the.
.
Unka waise kia kosoor,
Unka taqrana shayad Rabb
Ka parwan tha, ya taqdeer.
Aur main tehra musafir
Rahgeer hain woh,
Maine toh bas raah dikha diya.
Udta parinda jaisa tha main,
Na asiyane ki parwah
Ek parwana jo har sham jala.
Na jane kiski shama main.
Aksar log bhol jate hain.
Aaj main us zindagi ke kinare me ho,
Jaha se shayad hi wapis laut pao,
Kash kuch aur pal mil pate
aur kuch qassedo
Hasein ke, mohabbat ke
Main bhi likh pao.
Par Waqt Ka taqaza hain.
Parvardigar ne bulaya hai.
Aksar log bhul jate hai.
Wo pal aaj bhi zinda hain
Jab muskaan ka tohfa dia tha unhe,
Dil Toh rota tha Phir bhi hasa ,
Gham ka angan me nachna kyon
Jeena toh muskurana mehboob
Kia pata kis Waqt saanse tham jaye
aksar log bhool jate hian. .
Wo mohabbat ke qisee,
Wo khil khilate hase ke ghoonj,
Wo sabak tujhme jo junoon bhar diye,
Aaj tere qadam sehami hain,
Waqt badalte aaj hamne dekha.
Akasar log bhool jate hain.
Koi gila nahi hain waise,
muskarana humne bhi sikha nahi tha,
Par gham ka badal me tera hissa bhi nahi tha,
Tere muskurana meri ankho ki
Thandak thi aur hain.
Khuda toh janta hain.
Jakhm khaye Humne par khilaya nahi, Rab toh janta hain.
aksar log bhool jate hain.
.
Aaj kuch akhri pal me ,
Sanse kam hain par.
Par meri kuch hisse ke khushi
Aye Rab Toh sab ke Naam karde.
Dil rooth jaye kab dhakadne ko.
Jane wale ko kaun ruksaka.
Allah toh Al kareem, Al Ghofoor hain
Meri haq ada kardena.
Aur duniya walo ko jatlana
Kyonki aksar log bhool jate hain.
This is so beautifully written. Urdu bhot jyaada samajh mein nahi aati mujhe. Like the words you use Al Kareem. But It’s always a delight to read your words. I feel connected to them.
LikeLiked by 1 person
Oh koi baat ni. Padha karo urdu ke poems InshaAllah aajayga.
Mujhe bhi utna kuch Khaas nahi aata. Just reading to improve, download Rekhta app. the word meaning are also there if you tap the words.
LikeLiked by 1 person
Yeah, I will download the app. Thank you 😊
LikeLiked by 1 person
Two of my readers complained me of not getting my notifications.
Are you too not getting my notification?.
😁 I am just curious.
LikeLiked by 1 person
Yeah, that’s true. I am also not getting notifications. I have to visit your blog to check the comments and new updates.
LikeLiked by 1 person
Ok, let me see how can I fix that. ☺️Stay well keep smiling.
LikeLiked by 1 person
We all bloggers keep you yaad 😂 in our duaaoon.(Bihar style trying).😂
Don’t say it again and again. Aise hi hasi aa jati hai.😂😂 🙋
LikeLiked by 1 person
Hmmm, yeah bihari style thore hota hian.
Meri Bhojpuri toti phuti hain.
😁.
LikeLike